Thursday, July 7, 2011

Nain Se Nain Milaao To (Ghazal)

Nain Se Nain Milaao To Koi Baat Bane
Haath Mein Haath Milaao To Raat Raat Bane

Bas Ek Baar Pukaaro Mujhko Naam Leke
To Yeh Mulaqaat Mere Rab Se Mulaqaat Bane

Chamke Bijli Gagan Phir Bhi Dil Mein Aag Jale
Honth Se Honth Ko Tum Chhulo To Barsaat bane

Yun To Insaan Ki Maange Hai Jaise Jag Saara
Tere Sang Mutthi Bhar Gubaar Kainaat Bane

Copyright by Neel Trivedi 2011

Tere Chehre Mein Rab Ka (Ghazal)

Tere Chehre Mein Rab Ka Chehra Maine Dekha Hai
Raaz Raanai Ka Koi Gehra Maine Dekha Hai

Bheege Baalon Se Girte Paani Mein Ganga Hai
Shab Ko Aankhon Mein Chand Thehra Maine Dekha Hai

Yaad Karne Chale To Kitne Hai Dard-e-Mausam
Tere Honthon Se Gum Ka Pehra Maine Dekha Hai

Dil Ke Nasheman Ko Kabse Toofan Hai Tode
Tere Baahon Mein Ghar Sunhera Maine Dekha Hai

Copyright by Neel Trivedi 2011

Is Kadar Aap Se (Ghazal)

Is Kadar Aap Se Mohabbat Hui
Aap Ki Aankhen Mera Jannat Hui

Kya Hota Hoga Jab Aap Chalte hai
Palken Utthte Hi Jo Qayamat Hui

Itne Anmol Hai Andaz Aur Shaan
Raaje Maharaaje Ko Bhi Zillat Hui

Aap Ke Aage Chand Sunhera Kiya
Ke Bad Gumaan Aap Se Kudrat Hui

Copyright by Neel Trivedi 2011

Thursday, November 11, 2010

Zindagi Ka Ek Naya Roop (Ghazal)

Zindagi Ka Ek Naya Roop Maine Dekha Tumse
Jaana Ibaadat Hai Kya Aur Kya Hai Sajda Tumse

Zindagi Barson Se Dabi Hui Thi Dhoop Ke Neeche
Banke Rehti Hai Ab Din Raat Ek Thanda Saaya Tumse

Aaina Bhi Mujhpe Rozana Hasta Rehta Tha
Aaina Bhi Ab Aaina-E-Dil Ka Hai Judwa Tumse

Dil Ko Chodo Saara Aangan Bhi Khila Hai Tumse
Phool Chodo Yahaan Pe Bhi Chand Hai Khilta Tumse

Copyright by Neel Trivedi 2010

Saturday, May 15, 2010

Saare Sapne Toot Gaye (Ghazal)

Saare Sapne Toot Gaye Ab Ek Sapna Udhaar De
Mere Rabba Mere Mehboob Ka Aakhri Deedaar De

Gum Hai Aisa Kum Pad Jaaye Shaayad Mere Ashq Bhi
Aisa Ho To Uske Paaun Ka Aankhon Ko Gubaar De

Dil To Usne Tod Hi Diya To Ek Ehsaan Aur Karne De
Aakhri Saans Le Rahe Hai To Wohi Aake Maar De

Copyright by Neel Trivedi 2010

Tumko Dekha To (Nazm)

Tumko Dekha To Tera Naam Liya Karte Hai
Jaake Mandir Bhi Tera Sajda Kiya Karte Hai

Har Subah Kirne Suraj Ki Teri Aankhen Hai
Raat Ko Sapne Mere Teri Tamaam Baaten Hai
Zindagi Is Kadar Hum To Jiya Karte Hai

Koi Bhi Mod Pe Jo Tere Kadam Chalte Hai
Mod Pe Wohi Meri Manzil Ke Khwab Palte Hai
Wohi Ek Mod Ko Hum Moksh Kaha Karte Hai

Shah Jahan Tumse Ek Baat Pe To Rootha Hai
Taj Mahal Bhi Tere Aage Aam Lagta Hai
Jaane Aur Kitne Aise Tumse Jala Karte Hai

Saamne Aake Kisi Ki Tu Jaan Leti Hai
Phir Wohi Shaks Ko Tu Chhuke Jaan Deti Hai
Patteren To Bhi Tumse Jee Utha Karte Hai

Copyright by Neel Trivedi 2010